yun toh
aadmi kaam ka tha .....bekaar bn gya
apne hi ghar mein main mehmaan bn gya
huzur, aise sitam deti hai mohabbat
ki main khud ka intezaaar bn gya
husn walon ki gali se mukhatib na the
ki zulmoon sitam yun ho jaayenge
ki main muslmaan se kaafir bn gyaa
yun toh
aadmi kaam ka tha .....bekaar bn gya
jo saager ki talaash na hoti
toh mainkhane kyun jaate
main nashe ka pyaasa
in nazerron ka ghulam bn gya
yun toh
aadmi kaam ka tha .....bekaar bn gya
khateyen beshak meri hi hain
jo ulfat ke taamashe ko
sach samjh betha
aalam yeh hai
dil ka dard ye nasoor bn gya
yun toh
aadmi kaam ka tha .........bekaar bn gya