aise uthao
toh koi baat chale
chehre pe zulfein
yun tum girao
toh koi baat chale......
anghuti se khelte hue
meri taraf hath bdhao
toh koi baat chale
ehsasoo ki shabnami
ladyiaan sajao
toh koi baat chale........
meri dhadkan sun sako
itne kareeb aao
toh koi baat chale
mere seene mein
aake chup jao
toh koi baat chale....
makhmali dupatta
kandhe se yun girao
toh koi baat chale
gardan ke piche
chupa til dikhao
toh koi baat chale.......
sharmo-haya
ko bhul jaao
toh koi baat chale
meri baaho mein
aise simat jao
toh koi baat chale.....
meri nazero mein
khud ko paao
toh koi baat chale
apne lab mere
labo se takraao
toh koi baat chale.....
baat jo chale
teri aankho se
khushboo jo bahe
teri jism ki
do ruhoon ko ruksat kar
pyaar ka ek
jaam bhare.......
baat chalti hai ? i mean literally ..
ReplyDeletekabhi kabhi chalti hai, kabhi ruk jati hai...hehehhe
ReplyDeletelast paragraph is gud..
ReplyDeleteand mujhe last para mein hi thoda jhol lag rha tha...
ReplyDeletejamm.. which one...i wanna a patiala peg...
ReplyDeletebandeep sahab apke liye patiala se kaahan kaam chalega??
ReplyDeleteu suggest ..seems like u've tried alot..hehehe..
ReplyDeletetry toh nhi ki bus imagine ki hai
ReplyDelete